Ayatul Kursi kya hai?
Ayatul kursi fazilat ke aitbar se qirane pak ki sabse bari ayat hai .ayatul kursi allah subhanu tala ka taruf hai.
Ayatul kursi itni peyari ayat hai jise rasulallah sallallahu alaihi wasallam ne farmaya jo har farz namaz ke baad ayatul kursi padega marne se pehle wo apna jagah jannat mein bana lega.kyunki ye ayat fazilat ke aitbar se sab ayaton ki sardar hai.
Ayatul Kursi Quran Mein Ahmiyat
Ak riwayat main ata hai sare asmani klamon ka sardar hai ayatul kursi. Kuran ka sardar hai surah Al baqarah or surah al baqarah ki sardar hai ayatul kursi .to ese parhne ke fazilat bhi bohot bari or barkaton wala hai hame apne jindegi mein ese jarur samil karni chahiye or rojana har farz namaz ke ese parhna chahiye.
Ayatul Kursi ki Fazilat aur Barkat
- Nabi sallelahu aleihi wasallam ne farmaya jis gharme ayatul kursi parhi jaye us ghar se shaitan nikal jata hai .
- Ayatul kursi parhke apne upper dam karke ghar se nikalne se allah tala ek farishta mukarar karta hain hamari hifazat ke liye.
- Ayatul kursi tamam ayaton ka sardar hai. Ye ayat puri rat bhar shaitan ki shar se mehfooz rakhta hai kyunki shaitan ne khud Abu huraira radi allahu anhu ko yeh bat batai hai ,jiska tasdik khud Rasul allah sallelahu aleihi wasallam ne ki .
- Usne kaha jab tum sone ke liye jao to ayatul kursi parh lo subah tak allah ki taraf se ak nigehban farishta mukarar rahega.
- Apne kimti saman jeise sona peise chandi bagera jaha bhi chupah ke rakhe un per ak bar ayatul kursi parhke phuk dena chaiye,ishaallah uski hifazat hogi.
Ayatul Kursi ka Din mein Kitni Martaba Parhna Chahiye
Waise to har farz namaz ke bad parhna afzal hai or sote waqt bhi. Ayatul kursi bahut ahem surat hai to ise kabhi bhi padh sakte hai jitni bar parhna chahe. Ghar se nikalte wakt bhi parhna afzal hai safar ke liye bhi nikle to jarur parah kare. Ye qurane qarim ki sabse bari ayat hai fazilat ke aitbar se to ise apne zindagi mein padhna bahut ahem hai.
Ayatul kursi in Hinglish
Allahu la ilaha illa huwa al-hayyul qayyum. La ta’khudhuhu sinatun wa la nawm. Lahu ma fi as-samawati wa ma fi al-ard. Man dhal-ladhi yashfa’u ‘indahu illa bi-idhnihi. Ya’lamu ma bayna aydihim wa ma khalfahum. Wa la yuhiytuna bishay’in min ‘ilmihi illa bima sha’a. Wa si’a kursiyyuhu as-samawati wa al-ard. Wa la ya’uduuhu hifdhuhuma. Wa Huwa al-‘Aliyyu al-‘Adheem.
Ayatul kursi Ki Tarjuma
Allah wo hai ke uske siwa koi mabood nahi jinda kayam rakhne wala na usko ungh ati hai na neend aati hai usi ka hai jo kuch aasmano mein hai or jo kuch jamino mein hain kon hai jo iske ijen ke bagair ud ki ijazat ke kisi ki shifarish kar sake wo use bhi janta hai jop makhlukat ke samne hai or use bhi jo unse ojhal hai bande uske ilm ka jara bhi yehata nehin kar sakte siwah un bato ka ilm ke jo khud allah tala uneh dena chahiye.
Ayatul Kursi ki tilawat se Allah ki panah aur hifazat hasil hoti hai. Islamic Jankari ke zariye, humne iske fayde aur barkat ko samjha hai. Har farz namaz ke baad is Ayat ko parhne se hum shaitan aur buri asraat se mehfooz reh sakte hain. Ayatul Kursi parhkar ghar se nikalne se Allah ek farishta mukarrar karta hai hifazat ke liye. Yeh ayat puri raat hamein shaitan ke shar se mehfooz rakhti hai. Apne kimti saman par bhi Ayatul Kursi parh kar dam karein, inshaAllah hifazat hogi. Apni zindagi mein is ayat ko zaroor shamil karein.